Dosti Shayari, Yaadein Doston Ki

Yaadon Ke Bhanwar Mein Ek Pal Humara Ho,
Khilte Chaman Mein Ek Gul Humara Ho,
Jab Yaad Karein Aap Apne Doston Ko,
Unn Naamon Mein Bas Ek Naam Humara Ho.
यादों के भंवर में एक पल हमारा हो,
खिलते चमन में एक गुल हमारा हो,
जब याद करें आप अपने दोस्तों को,
उन नामों में बस एक नाम हमारा हो।
Tu Iss Kadar Mujhe Apne Kareeb Lagta Hai,
Tujhe Alag Se Jo Sochun Toh Ajeeb Lagta Hai,
Ye Dosti, Ye Marasim, Ye Chahatein, Ye Khulus,
Kabhi Kabhi Ye Sab Kuchh Ajeeb Lagta Hai.
तू इस कदर मुझे अपने करीब लगता है,
तुझे अलग से जो सोचूं तो अजीब लगता है,
ये दोस्ती, ये मरासिम, ये चाहतें, ये खुलूस,
कभी कभी ये सब कुछ अजीब लगता है।
Tum Dost Ban Ke Aise Aaye Zindagi Mein,
Ki Hum Yeh Zamaana Hi Bhool Gaye,
Tumhein Yaad Aaye Na Aaye Humari Kabhi,
Par Hum To Tumhein Bhulana Hi Bhool Gaye.
तुम दोस्त बनके ऐसे आए जिंदगी में,
कि हम ये जमाना ही भूल गये,
तुम्हें याद आए ना आए हमारी कभी,
पर हम तो तुम्हें भुलाना ही भूल गये।
Saath Rahte Yoon Hi Waqt Gujar Jayega,
Dur Hone Ke Baad Kaun Kise Yaad Aayega,
Jee Lo Ye Pal Jab Hum Sath Hain Dosto,
Kal Ka Kya Pata Waqt Kahan Le Ke Jayega.
साथ रहते यूँ ही वक़्त गुजर जायेगा,
दूर होने के बाद कौन किसे याद आयेगा,
जी लो ये पल जब हम साथ हैं दोस्तों,
कल क्या पता वक़्त कहाँ ले के जायेगा।

No comments:

Powered by Blogger.