Ashq Shayari, Do Chaar Aansoo

Ashq Shayari, Do Chaar Aansoo


Do Chaar Aansoo Hi Aate Hain Palkon Ke Kinare Pe,
Warna Aankhon Ka Samandar Gehra Bahut Hain.
दो चार आँसू ही आते हैं पलकों के किनारे पे,
वर्ना आँखों का समंदर गहरा बहुत है।
Woh Ashq Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rahta Hai.
Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghar Mein Rahta Hai.
वो अश्क बन के मेरी चश्म-ए-तर में रहता है,
अजीब शख़्स है पानी के घर में रहता है।
Aansoo Kabhi Palkon Par Bahut Der Nahi Rukte,
Ud Jate Hain Panchhi Jab Shaakh Lachakti Hai.
आँसू कभी पलकों पर बहुत देर नहीं रुकते,
उड़ जाते हैं पंछी जब शाख़ लचकती है।
Haan Kabhi Khwaab-e-Ishq Dekha Tha,
Ab Tak Aankhon Se Lahu Tapakta Hai.
हाँ कभी ख़्वाब-ए-इश्क़ देखा था,
अब तक आँखों से लहू टपकता है।
Inko Kabhi Aankh Se Girne Nahi Deta Hun Main,
Usko Lagte Hain Meri Aankh Mein Pyare Aansoo.
इनको न कभी आँख से गिरने देता हूँ मैं,
उनको लगते हैं मेरी आँख में प्यारे आँसू।
Jo Aansoo Aankh Se Achanak Nikal Padein,
Wajah Unki Jubaan Se Bayaan Nahin Hoti.
जो आँसू आँख सेअचानक निकल पड़ें,
वजह उनकी ज़बान से बयां नहीं होती।
Tu Ishq Ki Doosari Nishani De De Mujhko,
Aansoo Toh Roj Gir Ke Sookh Jate Hain.
तू इश्क की दूसरी निशानी दे दे मुझको,
आँसू तो रोज गिर कर सूख जाते हैं।

No comments:

Powered by Blogger.